|
Dear Affaf Azhar
Buhat dukh aur afsoos ka mukam hai magar hamaysha ki tarha ab bhi hum
afsoos kar k chup ho jayeen gay, jab hum ney apna mazhab thakay par uthwa
hi diya hai tu thayaydaar jo marzi salook kareen un ki marzi. iss tarha ka
zulam tu aab rooz ka mamool ban chuka hai yahan magar mujhey dukh mullah
par nahen hota balkeh apni bayhosh murda qoum par hota hai, hamsayion k
ghar par kia zulam k pahar totay hain inheen parwa nahen jab tak ussi
zualm ki aag apney daman tak na aa puhncey. KHUDA hamari murda qoum na
janay kab jagay gi ya shaeed ab kiayamat k bagal ki awaz hi jagaye gi iss
qoum ko.
Shafqat Sami
Karachi Pakistan |